Sir Dard ko Dur Karne ka 5 zabardast achuk upay | Insta Desi Nuskha


Sir dard ki samasya aam ho gayi hai sir dard kisi bhi hisse me ho sakta hai or ye dard keval lachhad hota hai jo ki sir ke kisi bimari ko aane ka sandesh deta hai to aaiye aaj ham normal sir dard ko thik karne ke kuchh aasan nuskhe jante hai Insta Desi Nuskhe ke zariye

Kayi baar bahut jyada tanaw lene se, thakawat lene se, bhukhe rahne se, tez garmi ya Sharir ke kisi or samasya jaise bukhar ya zukam ke karad se sir me drs ho sakta hai

Sir ka dard dimag me maujud pain sensitive structure me tanaw hone se hota hai sir or gardan me or body me 9 jagah aisi dard hoti hai jaise mashpeshiya, Nase, Ankh, kaan, etc... 

Aise dard me jayada tar log pain killer kha kar thik kar lete hai but aisa nahi karna chahiye apne sharir ko thora aaram dena chahiye ye sare dard aaram karne se bhi thik ho sakta hai 
Sir drd kayi tarah se hote hai agar ham chahe to khuch gharelu nuskhe aazma kar apne dard ko thik kar sakte hai to aaiye jante hai Insta Desi Nuskha me kuchh aise nuskhe jo apke sir dard ko chutki me thik kar sakte hai 

1) Pahla nuskha ye hai ki apko jab normal sir dard ho to aap bina dwa ke ye nuskha aazma kar apna dard thik kar sakte hai iske liye apko 4 ya 5 long chahiye or chutki bhar namak long ko kut kar powder bana le or usme chutki bhar namak mila kar eak cup pani me dal kar pi le pine ke thori der baad apka sir dard kam hota hua dikhega.

2) Dusra nuskha hai ki aap aadhe chamach kali mirch ka powder or aadhe chamach shahad or aadhe glass pani me mila kar pine se bhi sir dard thik ho jata hai

3) Teesra nuskha ye hai ki agar apko bar bar sir dard hota hai to aap nimbu ke chhilke ka pest bana kar sir pe lagane se bhi sir dard thik ho jata hai

4) Chautha nuskha ye hai ki kabhi kabhi thakawat ke wajah se bhi sir dard ho jata hai to aap chay se sir dard ko thik kar sakte hai chay me long, kali mirch or adrak dal kar bana le phir isse piye ye bhi bahut kamgar nuskha hai 

5) Pachwa nuskha ye hai ki adrak ka pest or nimbu ka ras mila kar pine se bhi sir dard me bahut aaram milta hai ye nuskha bhi bahut fayde mand hai.

Comments

Popular posts from this blog

Pet ki Charbi kam Karne ke kuchh Asaan Gharelu Nuskhe | Insta Desi Nuskha

Badalte Mausan me Sardi Khasi Ya Jukam se ab Pareshan Hone ki zarurat nhi Apnaye ye 8 Asaan se gharelu Nuskhe | Insta Desi Nuskha