Pet ki Charbi kam Karne ke kuchh Asaan Gharelu Nuskhe | Insta Desi Nuskha
Aaj hum apke liye laye hai kuchh behaad asaan tips jo apke pet ki charbi ko jad se khatam karne me bahut jyada helpful hai.
To aaiye jante hai Insta Desi Nuskha me me wo sari tips ke bare me jo apke kitchen me hi maujud hai jisse aap asaani se apne badhte motape se chhutkara pa sakte hai ye azmaya hua or bahut hi asaan tips hai ye 100% apke fat ko kam Karega.
1. Lemon or Honey:-
Lemon or honey lagbhag sabhi ke kitchen me hota hai but hume ye nhi pata hoga hai ki ye kitna helpful hai hamare health ke liye or ise hum apne badhte motape ko bhi asaani se kam kar sakte hai
Pet ki charbi kam karne ke liye ye kaam apko subah sawere karni padegi subah khali pet 1 glass garam pani (halka gunguna) me adha nimbu ka ras dale or 1 chamach shahad dale or pile waise aap nimbu pani bhi pi sakte hai lekin shahad dalne se jaldi apko iske fayde dikhenge
Isme metabolism hota hai jo apke fat ko jaldi kam karne me bahut helpful hota hai.
2. Zeera:-
Zeera to har kitchen ki shan hota hai ye sabhi ke kitchen me hota hai balki iske bina to har khane ka sawad fika rahta hai
Zeera ki madad se bhi hum bahut asaani se Belly Fat ko kam kar sakte hai zeere me bahut adhik matra me magnesium, calcium, magnizam, iron element paya jata hai .
Zeera khane se sharir me wasa ka aushoshad kam hota hai jisse wajan kam karne me bahut madad milti hai.
Zeera powder ko 1 chamach daily gungune pani me dal kar pi le isse weight kam hota hai.
3. Kheera:-
Kheera lagbhag sabhi logo ko pasand hota hai log isse garmiyo me khana bahut pasand karne hai aap iske sevan se apne pet ki charbi ko bhi asaani se kam kar sakte hai
Ye apka weight loss bhi karega or summer season me apko cool cool bhi rakhega aap isse salad ya soup bana kar bhi apne khane me shamil kar sakte hai.
3. Tomato:-
Tamatar fiber se bharpur hota hai aap isse jaise chahe kha sakte hai salad bana kar khaye chahe to aise bhi kha sakte ya phir soup bana kar pi le
Tamatar me maujud antioxidant apko kayi bimariyo se bachaye ga tamatar me vitamin a,b,c, or k, potassium, magnesium, phosphorus se bharpur tamatar apke health ke liye bahut jyada fayde mand hai
Tamatar pet or dil ko bhi healthy rakhne ka kaam karta hai or ye apke body me cancer ki hone wali koshikao ko bhi marta hai.
4. Green tea:-
Lagbhag sabhi log jante hai ki green tea weight loss ke liye bahut fayde mand hai
Agar aap chay ke shaukin hai to milk ke chay ko bye bye kahe or green tea pine ki adaat dal le
Antioxidant se bharpur Green tea, lemon tea ya black tea hi le q ke milk ki chay pine se fat hone ki chances jyada hoti hai or ye apki health ke liye sahi nhi hota.
Comments
Post a Comment