Badalte Mausan me Sardi Khasi Ya Jukam se ab Pareshan Hone ki zarurat nhi Apnaye ye 8 Asaan se gharelu Nuskhe | Insta Desi Nuskha
Badalte mausam me ye Samasya har insan ko ho jati hai sardi khasi ya jukam isliye hum apki ye problem ko chutkiyo me khatam karne ka nuskha le kar aaye hai
To aaiye jante Insta Desi Nuskha me ye 8 asaan Tips:-
Khasi ya viral infection elergy jaise samasya koi badi samasya nahi hai lekin hamare desh me log aise chhote chhote bimari ke liye log Doctors ke pas nhi jate
Hamare hi kitchen me kayi aise gharelu nuskhe chhipe hai jisse aisi chhoti moti bimariyo ka ilaj kiya ja sakta hai.
Insta Desi Nuskhe me ye 8 gharelu nuskhe apke liye bahut helpful honge ye hamara azmaya hua nuskha hai.
1. Shahad nimbu or ilaychi :-
Adha chamach shahad or chutki bhar ilaichi powder or adha nimbu mila kar din me 2 bar sevaan kare
Isse bahut aaram milega sardi or jukam me.
2. Garam Pani :-
Jitna ho sake garam pani piye or bhap le aisa karne se apke gale me jama cuf nikalega or apko Aram mahsus hoga.
3. Haldi or Dudh :-
Sardi or jukam me haldi dudh pine se bahut jyada aram milta hai sardi jukam bahut jaldi thik ho jate hai
Haldi me anti bacterial or abti virus properties maujud hota hai jo hamare sharir ke infection se ladta hai or sardi khasi or jukam se hame chhutkara deta hai.
4. Garam Pani or Namak :-
Garam pani me chutki bhar Namak mila kar galala karne se khasi or jukam se turant rahat mil jati hai ye din me lagbhag 2 se 3 baar kare.
5. Shahad or Brandy :-
Brandy to pahle se hi sharir ko garam karne ke kaam me aati hai isse shahad me mix karke lene se or jyada aaram milta hai.
6. Masala wali Chay :-
Masala wali chay bhi sardi jukam or khasi me bahut jyada faydemand hoti hai jaise tulsi, kali mirch, long, Adrak ko mila kr chay bana kr piye isse bahut aaram mile ga.
7. Shahad or Adrak :-
1 chamach shahad or 1 chamach adrak ka ras mila kar daily subah sham sevaan karne se bhi sardi jukam or Khasi me bahut aaram milta hai.
8. Joshandha:-
Joshandha ko ubal kar iska pani pine se bhi sardi or khasi me bahut jyada Aram milta hai joshandha kisi bhi pasari ki dukan par ya medical store par aasani se mil jata hai.
Wow such a healty tips you have shared here superb blog for health information Spectrum Metro Mall
ReplyDelete